wo jo mahw the sar-e-aina pas-e-aina bhi to dekhte
kabhi raushni mein wo tirgi ko chhupa hua bhi to dekhte
to ye jaan lete ki sach hai kya ye jo fard-e-jurm hai sab ghalat
wo jo paDh ke matn hi rah gae kabhi hashiya bhi to dekhte
sar-e-ab-ju rahe tishna-lab to ye zabt-e-gham ki hai intiha
mere haal pe the jo nukta-chin mera hausla bhi to dekhte
wo utar gae the jo par KHud mujhe bich bahr mein chhoD kar
tha jo un mein itna hi hausla mujhe Dubta bhi to dekhte
jinhen mujh se hai ye gila ki main rahi be-niyaz-e-KHulus-o-rabt
mere gird rasm-o-riwaj ka kabhi daera bhi to dekhte
wo meri KHushi se hain KHush-guman ki nashat-e-zist hai muddaa
mere ashk-e-gham ka ruka hua kabhi qafila bhi to dekhte

Ghazal
Wo jo mahw the sar-e-aina pas-e-aina bhi to dekhte
Najma Khan