اردو हिंदी
Wo jo kisi ka rup dhaar kar aaya tha | Shaahi Shayari
wo jo kisi ka rup dhaar kar aaya tha

Ghazal

Wo jo kisi ka rup dhaar kar aaya tha

Azad Gulati

;

wo jo kisi ka rup dhaar kar aaya tha
mere andar basne wala saya tha

wo dukh bhi kyun hum ko tanha chhoD gae
kya kya chhoD ke hum ne jinhen apnaya tha

KHud tum ne darwaze band rakkhe warna
main ek taza hawa ka jhonka laya tha

meri ek aawaz se sari TuT gai
wo diwaren jin par tu itraya tha

viran dil mein gham ke prit bhaTakte the
meri chup par kisi sada ka saya tha

is mein ek janam-bhar ke dukh simTe the
wo aansu jo palkon par lahraya tha