wo jo KHud apne badan ko saeban karta nahin
kyun na pachhtae ki saya aasman karta nahin
jaane kyun ek dusre ke log hain shikwa-guzar
kaun kis ke hauslon ka imtihan karta nahin
kuchh nahin khulta ki aaKHir kya kahani hai jise
log sunna chahte hain main bayan karta nahin
us se milte waqt tujh ko sath rakhkhun kis tarah
main to apne-ap ko bhi darmiyan karta nahin
meri peshani pe apni mohr kar deti hain sabt
nasb jin rahon pe mein apna nishan karta nahin
mujh mein aur ham-peshgan mein bas yahi ek farq hai
mang hai jis mal ki zeb-e-dukan karta nahin
sarf patwaron ke bal par par kya utrega wo
in hawaon mein jo uncha baadban karta nahin
hech hai sab ki nazar mein dekhna 'rashid' wo shaKHs
apne bare mein jo KHud koi guman karta nahin
Ghazal
Wo jo KHud apne badan ko saeban karta nahin
Rashid Mufti

