wo jo ek umr se masruf ibaadat mein the
aankh kholi to abhi arsa-e-zulmat mein the
sirf aafat na thin zat-e-ilahi ka subut
phul bhi dasht mein the hashr bhi jazbaat mein the
na ye taqdir ka likha tha na mansha-e-KHuda
hadse mujh pe jo guzre mere haalat mein the
main ne ki hadd-e-nazar par to ye raaz khula
aasman the to faqat mere KHayalat mein the
mere dil par to girin aable ban kar bunden
kaun si yaad ke sahra the jo barsat mein the
is sabab se bhi to main qabil-e-nafrat Thahra
jitne jauhar the mohabbat ke meri zat mein the
sirf shaitan hi na tha munkir-e-takrim 'nadim'
arsh par jitne farishte the meri ghat mein the
Ghazal
Wo jo ek umr se masruf ibaadat mein the
Ahmad Nadeem Qasmi