wo jo ek shaKHs wahan hai wo yahan kaise ho
hijr par wasl ki haalat ka guman kaise ho
be-numu KHwab mein paiwast jaDen hain meri
ek gamle mein koi naKHl jawan kaise ho
tum to alfaz ke nashtar se bhi mar jate the
ab jo haalat hain ai ahl-e-zaban kaise ho
aankh ke pahle kinare pe khaDa aaKHiri ashk
ranj ke rahm-o-karam par hai rawan kaise ho
bhaw-taw mein kami beshi nahin ho sakti
han magar tujh se KHaridar ko nan kaise ho
milte rahte hain mujhe aaj bhi 'ghaalib' ke KHutut
wahi andaz-e-taKHatub ki miyan kaise ho
Ghazal
Wo jo ek shaKHs wahan hai wo yahan kaise ho
Afzal Khan