wo jo ek ilzam tha us par kahin
aa na jae ab hamare sar kahin
jis ki KHatir qafila roka gaya
wo musafir chal diya uTh kar kahin
jab wo do panchhi mile the khet mein
phir nazar aa jae wo manzar kahin
KHwahishon ke ghaar ka munh band hai
tum haTa dena na wo patthar kahin
aasman se aane wale sat rang
the kisi ke, aa ke utre, par kahin
dil ki ek ummid dil mein rah gai
ek diya sa bujh gaya jal kar kahin
lapata hai ek samundar aaj tak
jhank baiTha tha mere andar kahin
Das na le mujh ko kahin KHushbu teri
kha na jae mujh ko ye bistar kahin
aa gaya wo jism ke malbe tale
main gira dahliz se bahar kahin
dhup ke lambe safar ke baad hum
sans lenge sae mein ruk kar kahin
Ghazal
Wo jo ek ilzam tha us par kahin
Tauqeer Raza