اردو हिंदी
Wo jo hoti thi faza-e-dastani le gaya | Shaahi Shayari
wo jo hoti thi faza-e-dastani le gaya

Ghazal

Wo jo hoti thi faza-e-dastani le gaya

Rakhshan Hashmi

;

wo jo hoti thi faza-e-dastani le gaya
ahd-e-nau ghar ghar se pariyon ki kahani le gaya

aur le jata bhi kya TuTe hue rishte ka dukh
kasa-e-dil se lahu aankhon se pani le gaya

us ko jaana tha chala jata magar jate hue
chhin kar mujh se wo apni har nishani le gaya

kyun nahin khilte ab aankhon mein rawadari ke phul
kya hua ye kaun rabt-e-darmiyani le gaya

wo qalandar the so un ko sari duniya ek thi
chal diye uTh kar jahan bhi dana-pani le gaya

ek nazar mein kar diya mashur kya sahir tha wo
munjamid kar ke mujhe meri rawani le gaya

us ke aage rang jitne the wo phike paD gae
sab pe sabqat ek aks-e-zafrani le gaya

jitne dukh aae miTane ko hamin KHud miT gae
kab koi 'raKHshan' hamari saKHt-jaani le gaya