اردو हिंदी
Wo jo har rah ke har moD par mil jata hai | Shaahi Shayari
wo jo har rah ke har moD par mil jata hai

Ghazal

Wo jo har rah ke har moD par mil jata hai

Abid Almi

;

wo jo har rah ke har moD par mil jata hai
ab ke puchhenge ki us shaKHs ka qissa kya hai

main wo patthar hun nahin jis ko mila sang-tarash
main ne har shakl ko apne mein samo rakkha hai

yunhi chup-chap bhala baiThe rahoge kab tak
koi darwaza kahin yun bhi khula karta hai

jab bhi girti hai kisi kuche mein koi diwar
mujh ko lagta hai koi shaKHs bahut roya hai

panw jalte hain yahan jism bhi jal jaega
tum ne kiya soch ke sahra mein qadam rakha hai

TuTte bante hi ye umr guzar jaegi
meri har shakl mein ek naqs ubhar aata hai

hum ne har daur ke sine mein hain ghonpe KHanjar
aur har daur ke sine se lahu Tapka hai

tum ne puchha hai ki tum kya ho kahan ho kyun ho
ye to batlao ki is soch mein kya rakkha hai

dasht ke peDon se kya puchh rahe ho 'abid'
bhul jao ki tumhein koi sada deta hai