اردو हिंदी
Wo jo ham-rahi ka ghurur tha wo sawad-e-rah mein jal-bujha | Shaahi Shayari
wo jo ham-rahi ka ghurur tha wo sawad-e-rah mein jal-bujha

Ghazal

Wo jo ham-rahi ka ghurur tha wo sawad-e-rah mein jal-bujha

Saleem Kausar

;

wo jo ham-rahi ka ghurur tha wo sawad-e-rah mein jal-bujha
tu hawa ke ishq mein ghul gaya main zamin ki chah mein jal-bujha

ye jo shaKH-e-lab pe hujum-e-rang-e-sada khila hai gali gali
kahin koi shoala-e-be-nawa kisi qatl-gah mein jal-bujha

jo kitab-e-ishq ke bab the teri dastaras mein bikhar gae
wo jo ahd-nama-e-KHwab tha wo meri nigah mein jal-bujha

hamein yaad ho to sunaen bhi zara dhyan ho to bataen bhi
ki wo dil jo mahram-e-raaz tha kahan rasm-o-rah mein jal-bujha

kahin be-niyazi ki lag mein kahin ehtiyat ki aag mein
tujhe meri koi KHabar bhi hai mere KHair-KHwah main jal-bujha

meri rakh se nai raushni ki hikayaton ko sameT le
main charagh-e-subh-e-visal tha teri KHema-gah mein jal-bujha

wo jo harf-e-taza-misal the unhen jab se tu ne bhula diya
teri bazm-e-naz ka bankpan kisi KHanqah mein jal-bujha