wo jo aae the bahut mansab-o-jagir ke sath
kaise chup-chap khaDe hain teri taswir ke sath
sirf zindan ki hikayat hi pe mamur nahin
ek tariKH safar karti hai zanjir ke sath
ab ke suraj ki rihai mein baDi der lagi
warna main ghar se nikalta nahin taKHir ke sath
tujh ko qismat se to main jit chuka hun kab ka
shayad ab ke mujhe laDna paDe taqdir ke sath
ab kisi aur gawahi ki zarurat hi nahin
jurm KHud bol raha hai teri tahrir ke sath
dekhte kuchh hain dikhate hamein kuchh hain ki yahan
koi rishta hi nahin KHwab ka tabir ke sath
ab jahan teri imarat ki haden milti hain
ek buDhiya ka makan tha usi jagir ke sath
ye to hona hi tha mahtab-e-tamasha phir bhi
kitne dil TuT gae hain teri tasKHir ke sath
yaad bhi abr-e-mohabbat ki tarah hoti hai
ek saya sa chala jata hai rahgir ke sath
Ghazal
Wo jo aae the bahut mansab-o-jagir ke sath
Saleem Kausar