wo jise dida-wari kahte hain
hum use be-basari kahte hain
nam us ka hai agar ba-KHabari
phir kise be-KHabari kahte hain
ye agar lutf-o-karam hai to kise
jaur-o-be-dad-gari kahte hain
kya isi kar-e-nazar-bandi ko
husn ki jalwagari kahte hain
gul ke auraq pe kanTon ka guman
kya ise KHush-nazari kahte hain
bahr-e-bimar dawa hai na dua
kya ise chaaragari kahte hain
kam kisi ko ye KHabar hai ki kise
ranj-e-be-baal-o-pari kahte hain
yas-o-hirman ko ba-alfaz-e-digar
aah ki be-asari kahte hain
nam hai wo bhi jigar-dari ka
hum jise be-jigari kahte hain
aap KHud bhi to gul-andamon ko
hur kahte hain pari kahte hain
fasl-e-gul hi to hai wo hum jis ko
mausam-e-jama-dari kahte hain
ishq mein ain hunar-mandi hai
sab jise be-hunari kahte hain
muft ki dard-sari ko hum bhi
muft ki dard-sari kahte hain
aap se hum se bani hai na bane
aap KHushki ko tari kahte hain
kya koi baat kabhi ahl-e-junun
az-rah-e-nam-wari kahte hain
hum pe ye bhi hai ek ilzam ki hum
dastan dard-bhari kahte hain
koi KHush ho ki KHafa ho 'hairat'
hum to har baat khari kahte hain
Ghazal
Wo jise dida-wari kahte hain
Abdul Majeed Hairat