wo jise ab tak samajhta tha main patthar, samne tha
ek pighalti mom ka sayyal paikar samne tha
main ne chaha aane wale waqt ka ek aks dekhun
be-karan hote hue lamhe ka manzar samne tha
apni ek pahchan di aai gai baaton mein us ne
aaj wo apne talluq se bhi baDh kar samne tha
main ye samjha tha ki sargarm-e-safar hai koi tair
jab ruki aandhi to ek girta hua par samne tha
main ne kitni bar chaha KHud ko laun raste par
main ne phir koshish bhi ki lekin muqaddar samne tha
sard jangal ki siyahi paT kar nikle hi the hum
aaKHiri kirnon ko tah karta samundar samne tha
TuTna tha kuchh ajab qahr-e-safar pahle qadam par
muD gai thi aankh hansta khelta ghar samne tha
pusht par yaron ki paspai ka nazzara tha shayad
dushmanon ka muskuraata ek lashkar samne tha
aankh mein utra hua tha sham ka pahla sitara
raat KHali sar pe thi aur sard bistar samne tha
Ghazal
Wo jise ab tak samajhta tha main patthar, samne tha
Rajinder Manchanda Bani

