اردو हिंदी
Wo jis pe tumhein sham-e-sar-e-rah ka guman hai | Shaahi Shayari
wo jis pe tumhein sham-e-sar-e-rah ka guman hai

Ghazal

Wo jis pe tumhein sham-e-sar-e-rah ka guman hai

Majrooh Sultanpuri

;

wo jis pe tumhein sham-e-sar-e-rah ka guman hai
wo shoala-e-awara hamari hi zaban hai

ab hath hamare hai inan raKHsh-e-junun ki
ab sar pe hamare kulah-e-sang-e-butan hai

bas pher ke munh KHar qadam khinch rahe the
dekha to nihan qafila-e-ham-safaran hai

chubhte hi bani KHar-sifat pa-e-KHizan mein
kya kije bahut hum ko gham-e-lala-ruKHan hai

kaam aae bahut log sar-e-maqtal-e-zulmat
ai raushni-e-kucha-e-dil-dar kahan hai

ai fasl-e-junun hum ko pae-shaghl-e-gareban
paiwand hi kafi hai agar jama giran hai

'majruh' kahan se guhar-e-gandum-o-jau laen
apni to girah mein yahi chashm-e-nigaran hai