wo jis ne mujh ko taDpaya bahut hai
mujhe wo shaKHs yaad aaya bahut hai
mohabbat ki kaTili rahguzar mein
KHushi kam aur gham paya bahut hai
wo mujh ko chhoD kar apne kiye par
bahut roya hai pachhtaya bahut hai
kisi ka nam sunte waqt mujh ko
tumhaara nam yaad aaya bahut hai
kai barson talak zalim jahan ne
hamein milne ko tarsaya bahut hai
main is dil ko jalana chahta hun
mujhe is dil ne taDpaya bahut hai

Ghazal
Wo jis ne mujhko taDpaya bahut hai
Noor N Sahir