wo jis ko hum ne apnaya bahut hai
usi ne dil ko taDpaya bahut hai
hamare qatl ki sazish ke darpai
hamara nek ham-saya bahut hai
dil-e-dard-ashna shauq-e-shahadat
mohabbat mein ye sarmaya bahut hai
ajab shai hai chaman-zar-e-tamanna
samar koi nahin saya bahut hai
KHata us ki nahin dil ko hamin ne
tamannaon mein uljhaya bahut hai
KHuda mahfuz rakhe aasman ko
zamin ko is ne jhulsaya bahut hai
teri yaad aai hai to aaj hum ko
dil-e-gum-gashta yaad aaya bahut hai
ba-nam-e-hazrat-e-naseh bhi ek jam
ki us ne waz farmaya bahut hai
na kyun Thukraen hum duniya ko 'sahir'
hamein bhi us ne Thukraya bahut hai

Ghazal
Wo jis ko humne apnaya bahut hai
Sahir Hoshiyarpuri