wo jis ki sara jahan puKHtagi se haar gaya
wo ek koh-e-giran aadmi se haar gaya
wahi jo raat pe chhaya hua andhera tha
sahar hui hai to wo raushni se haar gaya
nahin hai koi sabab sab se us ke kaTne ka
gharib aadmi tha muflisi se haar gaya
har ek mahaz pe dushman ko jis se mat hui
wo apne doston ki dosti se haar gaya
bahut aziz thi us ko bhi apni jaan magar
hisar-e-jabr mein wo bebasi se haar gaya
dar-asl us ke muqaddar mein haar likkhi thi
wo us se jang mein bad-qismati se haar gaya
hamesha ye hi to hota raha hai mere aziz
kisi ki jit to koi kisi se haar gaya
nahin tha us ke barabar ka ahl-e-zar bhi koi
magar gharib ki dariya-dili se haar gaya
ye kya maqam hai insan ki zindagi mein 'nazir'
nibhai maut se aur zindagi se haar gaya
Ghazal
Wo jis ki sara jahan puKHtagi se haar gaya
Nazeer Meeruthy