wo jis ka aks lahu ko jaga diya karta
main KHwab KHwab mein us ko sada diya karta
qarib aati jo tariKH us ke milne ki
wo apne wade ki muddat baDha diya karta
main zindagi ke safar mein tha mashghala us ka
wo DhunD DhunD ke mujh ko ganwa diya karta
use sameTta main jab bhi ek nuqte mein
wo mere dhyan mein titli uDa diya karta
usi ke ganw ki rahon mein baiTh kar har roz
main dil ka haal hawa ko suna diya karta
mujhe wo aankh mein rakh kar 'shumar' pichhli shab
ajab KHumar mein palken gira diya karta
na chheD mujh ko zamana wo aur tha jis mein
faqir gali ke badle dua diya karta
Ghazal
Wo jis ka aks lahu ko jaga diya karta
Akhtar Shumar