wo jinhen dasht-e-ana se par hona tha hue
hum ko lekin sahab-e-kirdar hona tha hue
kab talak jite visalon ki tamannaon mein log
zindagi se ek din bezar hona tha hue
aur the wo jin ko jagiren ata us se huin
apni qismat mein to bas fankar hona tha hue
kuchh parindon ko mili unchi uDanon ki saza
kuchh ko lekin qaid mein par-dar hona tha hue
hum ko banna tha kaDi zanjir ki hum ban gae
wo jinhen pazeb ki jhankar hona tha hue
koshish-e-paiham se bhi koi na ban pai lakir
khinchna the daere parkar hona tha hue
war apne aap par karna tha 'asad' tah-ba-tah
hum ko ek TuTi hui talwar hona tha hue
Ghazal
Wo jinhen dasht-e-ana se par hona tha hue
Asad Badayuni

