wo jin ki lau se hazaron charagh jalte the
charagh baad-e-fana ne bujhae hain kya kya
na tab-e-did na be-dekhe chain hi aae
hamare haal pe wo muskurae hain kya kya
raza o sabr o qanaat tawazo o taslim
falak ne hum ko KHasail sikhae hain kya kya
laraz gaya hai jahan dast-e-katib-e-taqdir
hamari zist mein lamhat aae hain kya kya
naqab uThao to qissa hi KHatm ho jae
tumhaare parda ne fitne uThae hain kya kya
zamana halka sa KHaka na le saka jin ka
nuqush dast-e-qaza ne miTae hain kya kya
ye panj-shil ye jamhuriyat ye ray-e-awam
ye ahl-e-zar ne khilaune banae hain kya kya
bala-e-jaan hui 'wasif' ki be-gunahi bhi
zara si baat mein ilzam aae hain kya kya

Ghazal
Wo jin ki lau se hazaron charagh jalte the
Wasif Dehlvi