wo ji gaya jo ishq mein ji se guzar gaya
isa ko ho nawed ki bimar mar gaya
aazad kuchh hue hain asiran-e-zindagi
yani jamal-e-yar ka sadqa utar gaya
duniya mein haal-e-amad-o-raft-e-bashar na puchh
be-iKHtiyar aa ke raha be-KHabar gaya
shayad ki sham-e-hijr ke mare bhi ji uThen
subh-e-bahaar-e-hashr ka chehra utar gaya
aaya ki dil gaya koi puchhe to kya kahun
ye jaanta hun dil idhar aaya udhar gaya
han sach to hai shikayat-e-zaKHm-e-jigar ghalat
dil se guzar ke tir tumhaara kidhar gaya
dil ka ilaj kijiye ab ya na kijiye
apna jo kaam tha wo gham-e-yar kar gaya
kya kahiye apni garam-rawi-ha-e-shauq ko
kuchh dur mere sath mera rahbar gaya
'fani' ki zat se gham-e-hasti ki thi numud
shiraaza aaj daftar-e-gham ka bikhar gaya
Ghazal
Wo ji gaya jo ishq mein ji se guzar gaya
Fani Badayuni

