اردو हिंदी
Wo jien kya jinhen jine ka hunar bhi na mila | Shaahi Shayari
wo jien kya jinhen jine ka hunar bhi na mila

Ghazal

Wo jien kya jinhen jine ka hunar bhi na mila

Aal-e-Ahmad Suroor

;

wo jien kya jinhen jine ka hunar bhi na mila
dasht mein KHak uDate rahe ghar bhi na mila

KHas-o-KHashak se nisbat thi to hona tha yahi
DhunDne nikle the shole ko sharar bhi na mila

na puranon se nibhi aur na nae sath chale
dil udhar bhi na mila aur idhar bhi na mila

dhup si dhup mein ek umr kaTi hai apni
dasht aisa ki jahan koi shajar bhi na mila

koi donon mein kahin rabt-e-nihan hai shayad
but-kada chhuTa to allah ka ghar bhi na mila

hath uTThe the qadam phir bhi baDhaya na gaya
kya tajjub jo duaon mein asar bhi na mila

bazm ki bazm hui raat ke jadu ka shikar
koi dil-dada-e-afsun-e-sahar bhi na mila