wo jidhar bhi nazar uThawe hai
zindagi ka pata batawe hai
dur tak koi bhi nahin ab to
kaun ye shor sa machawe hai
us saDak par wo ghar nahin milta
jo saDak us ke ghar ko jawe hai
koi to baat hai jo main chup hun
warna yun kaun dil jalawe hai
main to us ka pata hun lekin wo
mujh se apna pata chhupawe hai
us se kaTta nahin daraKHt koi
narm shaKHon ko wo jhukawe hai
sahma rahta hun ghar ke andar bhi
jaane kya shai mujhe Darawe hai
aao nudrat-'nawaz' lauT chalo
wo kahan apne lab hilawe hai
Ghazal
Wo jidhar bhi nazar uThawe hai
Nudrat Nawaz