اردو हिंदी
Wo jhankar paida hai tar-e-nafas mein | Shaahi Shayari
wo jhankar paida hai tar-e-nafas mein

Ghazal

Wo jhankar paida hai tar-e-nafas mein

Sher Singh Naaz Dehlvi

;

wo jhankar paida hai tar-e-nafas mein
ki hai naghma naghma meri dastaras mein

tasawwur bahaaron mein Duba hua hai
chaman ka maza mil raha hai qafas mein

gulon mein ye sargoshiyan kis liye hain
abhi aur rahna paDega qafas mein

na jina hai jina na marna hai marna
nirali hain sab se mohabbat ki rasmen

na dekhi kabhi hum ne gulshan ki surat
taraste rahe zindagi bhar qafas mein

kaho KHwah kuchh bhi magar sach to ye hai
jo hote hain jhuTe wo khate hain qasmen

main hone ko yun to riha ho gaya hun
meri ruh ab tak hai lekin qafas mein

na girta main ai 'naz' un ki nazar se
dil apna ye kam-baKHt hota jo bas mein