wo jab tak anjuman mein jalwa farmane nahin aate
surahi raqs mein gardish mein paimane nahin aate
sharik-e-dard ban kar apne begane nahin aate
mai-e-ishrat jo pite hain wo gham khane nahin aate
lipaT kar shama ki lau se lagi dil ki bujhate hain
parai aag mein jalne ko parwane nahin aate
uDate hi phirenge umr bhar wo KHak sahra ki
teri zulfon ke sae mein jo diwane nahin aate
jo apni aan par ai 'naz' apni jaan dete the
zamane mein nazar ab aise diwane nahin aate

Ghazal
Wo jab tak anjuman mein jalwa farmane nahin aate
Sher Singh Naaz Dehlvi