wo jab aap se apna parda karen
to band-e-qaba kis tarah wa karen
agar hum na un ki tamanna karen
to wo hum pe kyun naz beja karen
use log kyun mehr-e-taban kahen
jise dur se bhi na dekha karen
kiya us ne qatl aur main ne muaf
abas ahl-e-shahr us ka charcha karen
phire qais aawara hum wo nahin
ki mashuq ko apni ruswa karen
mere dard-e-dil ki hi pursish dawa
agar mujh ko puchhen to achchha karen
KHuda be-niyaz aur but sang-dil
kaho kis se hum rah paida karen
chalo phir kahen un se hum haal-e-dil
yahi phir kahenge ki hum kya karen
jinhen fasl-e-gul mein na ho dastaras
ki saman-e-ishrat muhayya karen
wo qumri-o-bulbul ko mutrib banaen
gul-o-sarwa ko jam-o-mina karen
unhen kya ho 'nazim' qayamat ka Dar
jo har rose ek fitna barpa karen

Ghazal
Wo jab aap se apna parda karen
Syed Yusuf Ali Khan Nazim