wo jaanta hai us ki dalilon mein dam nahin
phir bhi mubahison ka use shauq kam nahin
puchho zara ye kaun si duniya se aae hain
kuchh log kah rahe hain hamein koi gham nahin
kis kis ke ehtiram mein sar ko jhukaun main
mere alawa kaun yahan mohtaram nahin
milta hai jin se rah-nawardon ko hausla
mere liye wo log bhi manzil se kam nahin
hum karobar-e-dil ko kahen kis tarah ghalat
honge bahut se log KHasare mein hum nahin
Ghazal
Wo jaanta hai uski dalilon mein dam nahin
aqeel nomani