اردو हिंदी
Wo itr-e-KHak ab kahan pani ki bas mein | Shaahi Shayari
wo itr-e-KHak ab kahan pani ki bas mein

Ghazal

Wo itr-e-KHak ab kahan pani ki bas mein

Aftab Iqbal Shamim

;

wo itr-e-KHak ab kahan pani ki bas mein
hum ne badal liya hai piyala gilas mein

kal raat aasman mera mehman raha
kya jaane kya kashish thi mere iltimas mein

mamnun hun main apni ghazal ka ye dekhiye
kya kaam kar gai mere gham ke nikas mein

main qaid-e-haft-rang se aazad ho gaya
kal shab naqab laga ke makan-e-hawas mein

phir ye fasad-e-firqa-o-maslak hai kis liye
tu aur main to ek hain apni asas mein