wo itna kam se kam to mehrban hai
mera hi nam zeb-e-dastan hai
saliqe se jo karta dushmani bhi
sitamgar ab koi aisa kahan hai
kahani shauq ki hai mere itni
ki ek miTTi ka pani par makan hai
mujhe ab kya kisi shai ki zarurat
tera gham jab mata-e-jawedan hai
bhala kaise yaqin is par karun main
mera mahbub mujh se bad-guman hai
kahani facebook par hai raqam ab
mohabbat apni mashhur-e-jahan hai
mujhe 'KHushtar' watan apna hai pyara
zamin par KHuld ye hindostan hai
Ghazal
Wo itna kam se kam to mehrban hai
Mansoor Khushtar