wo ishq jo hum se ruTh gaya ab us ka haal bataen kya
koi mehr nahin koi qahr nahin phir sachcha sher sunaen kya
ek hijr jo hum ko lahaq hai ta-der use dohraen kya
wo zahr jo dil mein utar liya phir us ke naz uThaen kya
phir aankhen lahu se KHali hain ye shamen bujhane wali hain
hum KHud bhi kisi ke sawali hain is baat pe hum sharmaen kya
ek aag gham-e-tanhai ki jo sare badan mein phail gai
jab jism hi sara jalta ho phir daman-e-dil ko bachaen kya
hum naghma-sara kuchh ghazlon ki hum surat-gar kuchh KHwabon ke
be-jazba-e-shauq sunaen kya koi KHwab na ho to bataen kya
Ghazal
Wo ishq jo humse ruTh gaya ab us ka haal bataen kya
Athar Nafees