wo is jahan se hairan jaya karte hain
jo apne aap ko pahchan jaya karte hain
jo sirf ek Thikane se tere waqif hain
teri gali mein wo nadan jaya karte hain
kisi ke hone na hone ke bare mein aksar
akele-pan mein baDe dhyan jaya karte hain
main ab kabhi na dikhunga kisi ke marne se
ki shab guzar ke mehman jaya karte hain
jo asl baat hai us ko chhupane ki KHatir
kabhi kabhi ghalati man jaya karte hain
ye baat aate hue sochta nahin koi
ki sab yahan se pareshan jaya karte hain
'jamal' hum to tujhe ye bhi ab nahin kahte
kabhi kisi ka kaha man jaya karte hain
Ghazal
Wo is jahan se hairan jaya karte hain
Jamal Ehsani