wo ek wajud zamin par bhi aasman ki tarah
mere hudud se bahar hai la-makan ki tarah
wo ek KHayal koi bahr-e-be-karan jaise
meri nazar kisi bosida baadban ki tarah
azal se sar pe khaDi dopahar ka manzar hai
so ab ye dhup bhi lagti hai saeban ki tarah
main harf harf use hi sameTna chahun
magar wo phailta jata hai dastan ki tarah
mere badan mein koi shai yugon yugon se 'qamar'
bikhar rahi hai kisi reg-e-raegan ki tarah
Ghazal
Wo ek wajud zamin par bhi aasman ki tarah
Qamar Siddiqi

