wo ek hasin kabhi tanha nahin nikalta hai
ki jaise chand akela nahin nikalta hai
har aadmi se wafa ki umid mat rakkho
har ek zamin se sona nahin nikalta hai
gharon mein chaaron taraf qumqume to raushan hain
magar dilon se andhera nahin nikalta hai
kuchh imtihan faqat imtihan hote hain
har imtihan ka natija nahin nikalta hai
kabhi kabhi baDi mushkil se baat banti hai
ghazal ka sher hamesha nahin nikalta hai
hamare dard ki daulat faqat hamari hai
zamane ja tera hissa nahin nikalta hai
'kamal' ab to adu ki shanaKHt mushkil hai
har ek bam se falita nahin nikalta hai
Ghazal
Wo ek hasin kabhi tanha nahin nikalta hai
Ahmad Kamal Hashmi