اردو हिंदी
Wo husn ko jalwa-gar karenge | Shaahi Shayari
wo husn ko jalwa-gar karenge

Ghazal

Wo husn ko jalwa-gar karenge

Sufi Tabassum

;

wo husn ko jalwa-gar karenge
aaraish-e-baam-o-dar karenge

hans hans ke karenge chaara-sazi
saman-e-dil-o-nazar karenge

hum bhi sar-e-rah muntazir hain
dekhen kab idhar nazar karenge

afsana-e-gham tawil hai dost
is baat ko muKHtasar karenge

hai sham-e-firaq saKHt tarik
is sham ki ab sahar karenge

afsurda hain zindagi ke tewar
kab tak yunhi hum basar karenge

aaega 'tabassum' un labon par
aansu bhi kabhi asar karenge