wo husn ko jalwa-gar karenge
aaraish-e-baam-o-dar karenge
har goshe mein hogi KHud-numai
har zarre ko rahguzar karenge
hans hans ke karenge chaarasazi
saman-e-dil-o-nazar karenge
hum bhi sar-e-rah muntazir hain
dekhen kab idhar nazar karenge
afsana-e-gham tawil hai dost
is baat ko muKHtasar karenge
hai sham-e-firaq saKHt tarik
is sham ki ab sahar karenge
afsurda hain zindagi ke tewar
kab tak yunhi hum basar karenge
aaega 'tabassum' un labon par
aansu bhi kabhi asar karenge
Ghazal
Wo husn ko jalwa-gar karenge
Sufi Tabassum