wo ho kaisa hi dubla tar bistar ho nahin sakta
ghalat hai aadmi is tarah laghar ho nahin sakta
kabhi aansu ka qatra misl-e-gauhar ho nahin sakta
ghalat hai abr-e-naisan dida-e-tar ho nahin sakta
miyan majnun hon chahe kohkan ho donon KHabti the
kisi ka kuchh bhi un se KHak patthar ho nahin sakta
kamar jis ke na ho wo bar se kyun kar chalega phir
KHilaf-e-aql hai ye is tarah par ho nahin sakta
kaho phir ye kamar moTi hai sar chhoTa hai dilbar ka
nahin to phir qad-e-jaanan sanobar ho nahin sakta
wo KHatt-e-shauq ke jitne pulande chahe le jae
mulazim Dak-KHane mein kabutar ho nahin sakta
'zarif' aaina de kar Darwin-sahab ko samjha do
na ho jab tak sharir insan bandar ho nahin sakta
Ghazal
Wo ho kaisa hi dubla tar bistar ho nahin sakta
Zareef Lakhnavi