اردو हिंदी
Wo ho ilaj-e-dard mudawa kahen jise | Shaahi Shayari
wo ho ilaj-e-dard mudawa kahen jise

Ghazal

Wo ho ilaj-e-dard mudawa kahen jise

Pandit Jagmohan Nath Raina Shauq

;

wo ho ilaj-e-dard mudawa kahen jise
aisa to ho koi ki masiha kahen jise

pursan-e-haal koi nahin jis ka nam len
ek dard dil hi hai ki shanasa kahen jise

mushkil ye hai ki aap to sunte hi kuchh nahin
rudad-e-ishq wo ki fasana kahen jise

jalwe se dekhiye kahin aankhen jhapak na jaen
yun chashm wa ho zauq-e-tamasha kahen jise

allah aisi de tujhe taufiq ai junun
sar mein wo dhun samae ki sauda kahen jise

sab hasraton ko KHak mein zalim mila diya
ab dil mein kya raha ki tamanna kahen jise

ye bar-e-zindagi kahin halka na 'shauq' ho
itna to ho ki hasil-e-duniya kahen jise