wo hasb-e-wada na aaya to aankh bhar aai
mujhe tamasha banaya to aankh bhar aai
saja ke rakhta tha palkon pe jis ko main aksar
nazar se us ne giraya to aankh bhar aai
hamesha karta tha meri jo naz-bardari
isi ka naz uThaya to aankh bhar aai
jise samajhta tha main dil-nawaz jab us se
sukun-e-qalb na paya to aankh bhar aai
wo mujh se bharta tha dum dosti ka lekin jab
adu se hath milaya to aankh bhar aai
na tha ye wahm-o-guman mujh ko wo bulaega
achanak us ne bulaya to aankh bhar aai
nahin hai shikwa koi dushmanon se ai 'barqi'
fareb dost se khaya to aankh bhar aai
Ghazal
Wo hasb-e-wada na aaya to aankh bhar aai
Ahmad Ali Barqi Azmi