wo harf-e-shauq hun jis ka koi siyaq na ho
samajh sako na agar ishq ka miraq na ho
tere firaq se manus ho ke sochta hun
teri wafa ki tarah ye bhi ek mazaq na ho
juda na hon jinhen yarana ho judai ka
milen na wo jinhen milne ka ishtiyaq na ho
hazar shauq tera kam ho par KHuda na dikhae
wo din ki teri judai bhi dil pe shaq na ho
bhala hua ki gham-e-ashiqi shiar kiya
wo kya kare jo kisi bhi hunar mein taq na ho
Ghazal
Wo harf-e-shauq hun jis ka koi siyaq na ho
Shahid Ishqi

