wo harf-e-raaz ki mujh ko sikha gaya hai junun
KHuda mujhe nafas-e-jabrail de to kahun
sitara kya meri taqdir ki KHabar dega
wo KHud faraKHi-e-aflak mein hai KHwar o zubun
hayat kya hai KHayal o nazar ki majzubi
KHudi ki maut hai andesha-ha-e-guna-gun
ajab maza hai mujhe lazzat-e-KHudi de kar
wo chahte hain ki main apne aap mein na rahun
zamir-e-pak o nigah-e-buland o masti-e-shauq
na mal-o-daulat-e-qarun na fikr-e-aflatun
sabaq mila hai ye meraj-e-mustafa se mujhe
ki aalam-e-bashariyat ki zad mein hai gardun
ye kaenat abhi na-tamam hai shayad
ki aa rahi hai damadam sada-e-kun-fayakun
ilaj aatish-e-'rumi' ke soz mein hai tera
teri KHirad pe hai ghaalib firangiyon ka fusun
usi ke faiz se meri nigah hai raushan
usi ke faiz se mere subu mein hai jehun
Ghazal
Wo harf-e-raaz ki mujhko sikha gaya hai junun
Allama Iqbal