wo har maqam se pahle wo har maqam ke baad
sahar thi sham se pahle sahar hai sham ke baad
har inqilab mubarak har inqilab azab
shikast-e-jam se pahle shikast-e-jam ke baad
mujhi pe itni tawajjoh mujhi se itna gurez
mere salam se pahle mere salam ke baad
charagh-e-bazm-e-sitam hain hamara haal na puchh
jale the sham se pahle bujhe hain sham ke baad
ye raat kuchh bhi nahin thi ye raat sab kuchh hai
tulu-e-jam se pahle tulu-e-jam ke baad
wahi zaban wahi baaten magar hai kitna farq
tumhaare nam se pahle tumhaare nam ke baad
hayat girya-e-shabnam hayat raqs-e-sharar
tere payam se pahle tere payam ke baad
ye tarz-e-fikr ye rang-e-suKHan kahan 'qabil'
tere kalam se pahle tere kalam ke baad
Ghazal
Wo har maqam se pahle wo har maqam ke baad
Qabil Ajmeri