wo hansti aankhen hasin tabassum damakta chehra kitab jaisa
daraaz qamat hai sarw aasa hai rang khilte gulab jaisa
wo dhime lahje ke zer-o-bam mein phuwar jaisi hasin rim-jhim
hai guftugu mein baham tasalsul rawan rawan sa chanab jaisa
kuchh us ke aariz ki dil-farebi kuchh us ke honTon ka rang dilkash
wo sar se pa hai ghazal ka lahja naya naya sa shabab jaisa
kabhi wo taswir ban ke dekhe kabhi wo tahrir ban ke bole
wo pal mein gum-sum wo pal mein hairan kisi musawwir ke KHwab jaisa
wo mere jazbon ki KHush-nasibi ya us ki chahat ki intiha hai
ki us ki aankhon mein aks mera nihan ayan sa hijab jaisa
farishta surat dua ka saya wo rup insan ka dhaar aaya
hai us se duri azab mujh ko hai us ka milna sawab jaisa
palaT ke dekhe to waqt Thahre wo chal paDe to zamana hairan
wo rashk-e-ambar wo mah-e-kaamil wo kahkashan wo shahab jaisa
kabhi wo sher-o-suKHan ka shaida kabhi wo tahqiq ka diwana
wo meri ghazlon ka husn-e-matla mere maqale ke bab jaisa

Ghazal
Wo hansti aankhen hasin tabassum damakta chehra kitab jaisa
Priya Tabita