wo hamein rah mein mil jaen zaruri to nahin
KHud-ba-KHud fasle miT jaen zaruri to nahin
chand chehre ki hain gum waqt ke sannaTe mein
hum magar un ko bhula paen zaruri to nahin
jin se bichhDe the to tarik thi duniya sari
hum unhen DhunD ke phir laen zaruri to nahin
tishnagi had se siwa aur safar jari hai
par sarabon se bahal jaen zaruri to nahin
zindagi tu ne to sach hai ki wafa hum se na ki
hum magar KHud tujhe Thukraen zaruri to nahin
ju-e-ehsas mein larzan ye gurezan lamhat
naghma-e-dard mein Dhal jaen zaruri to nahin
ye to sach hai ki hai ek umr se bas ek talash
hum magar apna pata paen zaruri to nahin
Ghazal
Wo hamein rah mein mil jaen zaruri to nahin
Zahida Zaidi