wo hamein kaise bhala ahl-e-wafa manega
KHud pe nazan hai adaon ka sila manega
be-yaqin hai hum agar us ke liye jaan bhi den
qabr ko shoabada-bazon ka gaDha manega
aql akbar hai to kya dil bhi hai shahzada-salim
ishq mein kaun buzurgon ka kaha manega
pursish-e-haal nahin hai koi sahra ki tarah
kyun na basti ko junun dasht-numa manega
jo bhi deta hai kisi aur se dilwata hai
har koi kaise bhala rab ki ata manega

Ghazal
Wo hamein kaise bhala ahl-e-wafa manega
Mannan Bijnori