wo hum se kyun alag tha kyun dukhi tha
hamare zehn mein jo aadmi tha
pata detin mera kya shahrahen
makan mera gali-andar-gali tha
hazaron main chhupe the mujh mein phir bhi
nazar mein aaine ke ek hi tha
hare patton se shabnam ki judai
yahi aaghaz-e-subh-e-tishnagi tha
ghurur-e-subh kya mujh ko dikhata
lahu ki sham mein main didani tha
andhere jhaD kar daman se apne
uTha to raushni hi raushni tha
Ghazal
Wo humse kyun alag tha kyun dukhi tha
Tasawwur Zaidi