wo hum se dur hote ja rahe hain
bahut maghrur hote ja rahe hain
bas ek tark-e-mohabbat ke irade
hamein manzur hote ja rahe hain
manazir the jo firdaus-e-tasawwur
wo sab mastur hote ja rahe hain
badalti ja rahi hai dil ki duniya
nae dastur hote ja rahe hain
bahut maghmum the jo dida-o-dil
bahut masrur hote ja rahe hain
wafa par murdani si chha chali hai
sitam ka nur hote ja rahe hain
kabhi wo pas aae ja rahe the
magar ab dur hote ja rahe hain
firaq o hijr ke tarik lamhe
sarapa nur hote ja rahe hain
'shakil' ehsas-e-gumnami se kah do
ki hum mashhur hote ja rahe hain
Ghazal
Wo humse dur hote ja rahe hain
Shakeel Badayuni