wo ham-safar tha magar us se ham-nawai na thi
ki dhup chhanw ka aalam raha judai na thi
na apna ranj na auron ka dukh na tera malal
shab-e-firaq kabhi hum ne yun ganwai na thi
mohabbaton ka safar is tarah bhi guzra tha
shikasta-dil the musafir shikasta-pai na thi
adawaten thin, taghaful tha, ranjishen thin bahut
bichhaDne wale mein sab kuchh tha, bewafai na thi
bichhaDte waqt un aankhon mein thi hamari ghazal
ghazal bhi wo jo kisi ko abhi sunai na thi
kise pukar raha tha wo Dubta hua din
sada to aai thi lekin koi duhai na thi
kabhi ye haal ki donon mein yak-dili thi bahut
kabhi ye marhala jaise ki aashnai na thi
ajib hoti hai rah-e-suKHan bhi dekh 'nasir'
wahan bhi aa gae aaKHir, jahan rasai na thi
Ghazal
Wo ham-safar tha magar us se ham-nawai na thi
Naseer Turabi