اردو हिंदी
Wo ham-kanar hai jam-e-sharab hath mein hai | Shaahi Shayari
wo ham-kanar hai jam-e-sharab hath mein hai

Ghazal

Wo ham-kanar hai jam-e-sharab hath mein hai

Hafeez Jaunpuri

;

wo ham-kanar hai jam-e-sharab hath mein hai
baghal mein chand hai aur aaftab hath mein hai

pila ke pir ko saghar jawan banata hai
maza hai pir-e-mughan ke shabab hath mein hai

bar aai aaj mere dil ki aarzu sad shukr
ki daman aap ka roz-e-hisab hath mein hai

ye aae kis ke qadam dast-e-mauj se dariya
liye hue jo kulah habab hath mein hai

araq visal mein ponchha hai gul se galon ko
yahi hai wajh ki bu-e-gulab hath mein hai

bin aai hai mere dast-e-hawas ki wasl ki shab
hina lagae jo wo mast-e-KHwab hath mein hai

hawa se tez wo aata hai nama-bar mera
niyaz-name ka mere jawab hath mein hai

khile hain gul gul aariz ke wasf mein sar-e-dast
qalam mera hai ki shaKH-e-gulab hath mein hai

'hafiz' aap ka diwan ye hua maqbul
ki jis ko dekho liye ye kitab hath mein hai