wo hairaton ki mukammal kitab likh dena
sawal karne se pahle jawab likh dena
shikast-o-reKHt ka paiham azab likh dena
wo us ka jagti aankhon mein KHwab likh dena
ajib tarah batana hayat ka mafhum
wo ungliyon se hawa par habab likh dena
hamare ghar ke charaghon ka imtihan hi sahi
tum aandhiyon ke musalsal azab likh dena
samundaron ki bhi wusat jo pyas se kam ho
hamare KHun-e-jigar ko sharab likh dena
agar nahin shajar-e-saya-dar raston mein
saron pe jalne hue aaftab likh dena
'qamar' ajib hai uslub-e-KHamushi us ka
bas ek nigah mein dil ki kitab likh dena
Ghazal
Wo hairaton ki mukammal kitab likh dena
Qamar Sanbhali