wo hain tayyar imarat ko girane wale
tu kahan hai meri buniyaad uThane wale
sochta hun sar-e-sahil khaDa jaane kab se
Dub jate hain kahan par lagane wale
un se kah do na karen dast-e-hawas hum pe daraaz
hum to pine se ziyaada hain pilane wale
gham ki tabir se pahle mujhe malum na tha
mere ashaar ko sangit banane wale
baadban tez hawaon se phaTe jate hain
Dub jaen na kahin par lagane wale
raat hoti hai to jalte hain meri aankhon mein
ye sitare jo hain suraj ke gharane wale
kuchh to hai jis se hai baqi teri duniya ka jawaz
kam hi dekhe hain talluq ko nibhane wale
yunhi mear badalte rahe duniya ke agar
phir kahan aaenge milne wahi aane wale
banTte phirte hain har samt andheron ko 'nabil'
silsila apne charaghon ka baDhane wale
Ghazal
Wo hain tayyar imarat ko girane wale
Nabeel Ahmad Nabeel