اردو हिंदी
Wo hai apna ye jatana bhi nahin chahte hum | Shaahi Shayari
wo hai apna ye jatana bhi nahin chahte hum

Ghazal

Wo hai apna ye jatana bhi nahin chahte hum

Meena Naqvi

;

wo hai apna ye jatana bhi nahin chahte hum
dil ko ab aur dukhana bhi nahin chahte hum

aarzu hai ki wo har baat ko KHud hi samjhe
dil mein kya kya hai dikhana bhi nahin chahte hum

ek parde ne bana rakkha hai donon ka bharam
aur wo parda haTana bhi nahin chahte hum

tohmaten hum pe lagi rahti hain lekin phir bhi
aasman sar pe girana bhi nahin chahte hum

KHud-numai hamein manzur nahin hai hargiz
aise qad apna baDhana bhi nahin chahte hum

das se milna hai use ek hain un mein hum bhi
is tarah us ko bulana bhi nahin chahte hum

hum se milne ki taDap jab nahin us ko 'mina'
hath phir us se milana bhi nahin chahte hum